Wednesday, January 23, 2019

दिल्ली स्थित प्रसिद्ध लौह स्तंभ




Famous Non-rusting Iron Pillar, belonged to Vidisha !!!
The information board at Qutub minar complex mentions that it was brought to Delhi by Tomar King Anangpal or then ruler Iltutmish during 11th Century.

दिल्ली स्थित प्रसिद्ध लौह स्तंभ विदिशा से लाया गया था !!!
कुतुब मीनार कॉम्प्लेक्स में स्थित सूचना बोर्ड पर उल्लेख है कि प्रसिद्ध लौह स्तंभ को 11 वीं शताब्दी के दौरान तोमर राजा अनंगपाल या फिर उस दौरान के क्षेत्र शासक इल्तुतमिश द्वारा 1233 ईस्वी में उदयगिरि विदिशा से दिल्ली लाया गया था।

Friday, March 23, 2018

Vikram samvat, shalivahan shak samvat evam iisvi san (AD) evam Parmar Vansh


Brahman Shung samrat,Kanv Vansh evam Agnivanshiy Rajput,


Agnivanshiiy Rajput-
Puranon ke varnan ke anusar Ashok ke rajyakal me buddha dharma ka itna adhik balpoorvak prasar hua ki Hindu mandir nasht kar diye gaye, yagyadi hona band ho gaye, aur sanatan dharma ka aisa hashra dekhkar Shukla namak ek tapasvi brahaman ne Abu parvat par ek yagya kiya aur apne teen bhaiyon ke sahit kshaktriya dharm ki diksha li aur kai hajaron brahamanon ko kshaktriya banaya gaya…
       Prithviraj raso aur kai anya Rajput kaalin grantho me bhi isi baat ki pushti milti hai ki Mount Abu ke us yagya se chaar naye Rajput vanshon ki shuruat hui jo agnivanshiiy kshaktriya kahlaye. Ve char bhai aur unse jo char rajvansh chale unke naam the –
1 Pramar se Parmar vansh
2 chaphani se Chauhan vansh
3 pratihar se pratihar vansh
4 Shukla se solanki urf chalukya urf gaharwar vansh
Parmar ne Dhara nagri(Malwa), Chauhan ne Shakambhri/Ajmer(Rajasthan), Pratihar ne Kalinjar(Bundelkhand), Shukla ne wahin Abu parvat ko apna adhar sthan banaya evam shakti ekatrit karne me lag gaye.

Aitihasik Shung Brahman Vansh-
Ab ham aitihasik saboot dekhte hain to paate hain ki  Ashok ke samay to koi bada vidroh saamne nahi aata par uski mrityu ke kuchh hi dashak baad 185 BC me vidisha ka Pushyamitra Shung jo Magadh samrajya ka senapati tha aur Brahman tha wah Maurya samrat brahdrath ka vadh kar deta hai aur Maurya vansh ka ant ho jata hai. Wah Pushyamitra apne putra Agnimitra ko Magadh ka samrat banata hai aur khud senapti hi bana rahta hai….Iske saath hi shuruat hoti hai mahaan Shung vansh ki. Pushyamitra ne kai ashvmedh yagya kiye aur kai baar afghanistan tak Vijay abhiyan chalaye. Ye shungon ka hi prabhav tha ki us samay ke Greek(Yunani), Scythian(Shak), Persian(Pallav) logon ne bhagwat dharma apnana arambh kar diya tha…..is brahad ghatnkram ke wese to poore indian subcontinent me kai saboot milte hain par usme sabse ullekhniiy hai Vidisha ka Helliodorous stambh……Helliodorous Shung samrat bhagbhadra ke samay me Greek Bactrian samrat ka Rajdoot tha Magadh me aur Vidisha shung kaal me magadh ki dwitiiy rajdhani thi. Maurya kaal me dwitiiy rajdhani ka darja Ujjain ko prapt tha. Helliodorus ne apne kharch se Vidisha ke upnagar baisnagar me ek Vishnu mandir banwaya tha jiske saamne garud stambh lagwakar ye sari jankari likhwayi thi….Muslim kaal me wah mandir nasht kar diya gaya par angrejon ke samay me khudai me us garud stambh ka nichla bhaag phir mila aur wah tabse helliodorous stambh ke naam se prasiddha hai. Sthaniiy log uski khambaba (matlab khamba baba)ke naam se pooja karte hain.
Kanv Brahman Vansh
Vasudev namak  ek Kanv vanshiiy brahman shungon ka  ek samant tha. Usne 72 BC me antim Shung samrat Devbhuti ki hatya kar di aur Kanv Vansh ki sthapna hui.

Satvahan Vansh –
Puranon me ye baat bilkul saaf shabdon me likhi hai ki Andhra vansh jo Satvahan vansh ke naam se bhi prasiddha hai…uski shuruat tab hui jab Andhra ke ek satvahan vanshiiy samant Shimuk ne antim Kanv samrat Susharman ki 27BC me hatya kar di aur ek swatantra shashak ke roop me rajya arambh kiya. Isse ek baat to sabit hoti hai ki Kanvon ka shashan kam se kam Bihar se Andhra Pradesh tak to tha hi.
             In satvahanon ko bhi kai itihaskar Brahmin hi mante hain par ye abhi tark ka Vishay hai.

Nishkarsh –
Is sab me jo ek baat nikalkar saamne aati hai wo ye hai ki Abu ke yagya ke baad Brahmanon ne Gupt Sainik sangthan banana arambh kar diye honge aur Pushyamitra Shug inhi sangthanon me se kisi ek ka sadasya raha hoga. Uske pad ke kaaran sabhi sangthanon ne use sarvmat se apna neta mana hoga evam apna sampoorna sainik samarthan diya hoga. Yahi kaaran tha ki wo poore uttar bharat aur dakshinapath tak me ashvmedh yagya karke kai yuddhon ka vijeta bana. Yahi karan hai ki parmar, chauhan, pratihar evam shukla vansh jo apne apne kshektron me paryapt shaktishali ho gaye honge par unhone swatantra rajya karne ki jagah Pushyamira ko apna Samrat mana aur matra samant ke roop me rajya karte rahe. Na sirf Shungon ke balki Kanvon  ke bhi samant rahe……..sirf Kanv vansh ke khatme ke baad hi Ujjain/Dhar ke parmar Raja Vikramaditya ne 27 BC me swayam ko samrat ghoshit kiya aur tabhi Vikram samvat ka arambh kiya jiska pratham varsh usne 58 BC ko maana jo ki vikramaditya ka janma varsh tha.


Monday, January 15, 2018

Gupt shasan ka aur arab ka Dinar evam Parmar vansh


Vidisha ka Charan Tiirth , Lalli Patel aur Dhaturia gram...






Vidisha Nagar me vetwa nadi ko paar karne ke 2 sthaan hain...ek hai Rangai doosra hai Charan Tiirth...adhikansh vidisha vasiyon ko nahi pata ki uska naam Charan Tiirth kab aur kese pada...
Aaiye jante hain iske piichhe ka itihas....
Vidisha Nagar se 35 km duur ek gram hai Dhaturia gram... Yahan British period me ek vyakti hue Lalli Ram Meena ji.....unko British government me Mukaddam ki naukri mili...jiska kaam hota tha kisano se Todi ikatthi karke Vidisha collectorate me jama karwana...To Lalli Ram ji Lalli Patel kahlane lagey.
..Ye Lalli Patel santon me badi shraddha rakhte the.
Ek baar ye Todi ikattha karke vidisha aa rahe the ...Raste me Charan Tiirth par kai mandir hain aur aksar yahan Santon ki jamaat aaya karti thi .....tab Charan Tiirth ke ghat par inhe santon ki bhiid dikhai di....ye swabhav vash unke paas gaye aur pranam kiya....Santon ne kaha ki kya sukha sukha pranam kar raha hai kuchh seva bhandara kar....tab Lalli Patel ne socha ki mere paas ki sarkari rakam se abhi santon ko bhandara karwa deta hun....baad me apne ghar se rakam lekar sarkari khajane me jama karwa duunga...Badhiya bhandara hua..bhent Pooja , dakshina hui aur poori sarkari rakam kharch ho gayi....Jab agle din Lalli Patel apne ghar se rakam lekar jama karwane gaye tab khajanchi unse bola ki Patel sahab kal aap aap Jo rashi jama karwa kar gaye uski rasiid hi nahi le gaye, main apko aawaj lagata rah gaya....
Kuchh der to Patel samajh nahi paaye par Fir unhe samajh aa gaya ki bhagwan swayam hi ye karya karke gaye hain...ve daude daude gaye us sthan par jahan unhone bhandara kiya tha...par wahan duur tak kisi jamaat ka koi nishan nahi tha....Tab unhone us sthan par bhagwan ke Charan Ankit karwaye aur apne gaanw me ek mandir bhi banwaya Jo wahan aaj bhi hai aur Lalli Patel ki madhiya ke naam se Jana jata hai. Us par is ghatna ka San samvat aadi bhi Ankit hai.

Wednesday, January 3, 2018

Shalbhanjika




ये हैं शालभंजिका। विश्वविख्यात। अपनी तरह की अनूठी। विदिशा से प्राप्त। गूजरी महल में संरक्षित। 18 करोड़ का बीमा। दुनिया भर में घूम चुकी है।

Thursday, March 23, 2017

Vidisha ki Gupt kaaliin gufayen


The famous Varaah statue built by Great Gupta Empire......in the Udaigiri caves.....cave no 5