Agnivanshiiy
Rajput-
Puranon ke
varnan ke anusar Ashok ke rajyakal me buddha dharma ka itna adhik balpoorvak
prasar hua ki Hindu mandir nasht kar diye gaye, yagyadi hona band ho gaye, aur
sanatan dharma ka aisa hashra dekhkar Shukla namak ek tapasvi brahaman ne Abu
parvat par ek yagya kiya aur apne teen bhaiyon ke sahit kshaktriya dharm ki
diksha li aur kai hajaron brahamanon ko kshaktriya banaya gaya…
Prithviraj raso aur kai anya Rajput kaalin
grantho me bhi isi baat ki pushti milti hai ki Mount Abu ke us yagya se chaar
naye Rajput vanshon ki shuruat hui jo agnivanshiiy kshaktriya kahlaye. Ve char
bhai aur unse jo char rajvansh chale unke naam the –
1 Pramar se
Parmar vansh
2 chaphani
se Chauhan vansh
3 pratihar
se pratihar vansh
4 Shukla se
solanki urf chalukya urf gaharwar vansh
Parmar ne
Dhara nagri(Malwa), Chauhan ne Shakambhri/Ajmer(Rajasthan), Pratihar ne
Kalinjar(Bundelkhand), Shukla ne wahin Abu parvat ko apna adhar sthan banaya
evam shakti ekatrit karne me lag gaye.
Aitihasik
Shung Brahman Vansh-
Ab ham
aitihasik saboot dekhte hain to paate hain ki
Ashok ke samay to koi bada vidroh saamne nahi aata par uski mrityu ke
kuchh hi dashak baad 185 BC me vidisha ka Pushyamitra Shung jo Magadh samrajya
ka senapati tha aur Brahman tha wah Maurya samrat brahdrath ka vadh kar deta
hai aur Maurya vansh ka ant ho jata hai. Wah Pushyamitra apne putra Agnimitra
ko Magadh ka samrat banata hai aur khud senapti hi bana rahta hai….Iske saath
hi shuruat hoti hai mahaan Shung vansh ki. Pushyamitra ne kai ashvmedh yagya
kiye aur kai baar afghanistan tak Vijay abhiyan chalaye. Ye shungon ka hi
prabhav tha ki us samay ke Greek(Yunani), Scythian(Shak), Persian(Pallav) logon
ne bhagwat dharma apnana arambh kar diya tha…..is brahad ghatnkram ke wese to
poore indian subcontinent me kai saboot milte hain par usme sabse ullekhniiy
hai Vidisha ka Helliodorous stambh……Helliodorous Shung samrat bhagbhadra ke
samay me Greek Bactrian samrat ka Rajdoot tha Magadh me aur Vidisha shung kaal
me magadh ki dwitiiy rajdhani thi. Maurya kaal me dwitiiy rajdhani ka darja
Ujjain ko prapt tha. Helliodorus ne apne kharch se Vidisha ke upnagar baisnagar
me ek Vishnu mandir banwaya tha jiske saamne garud stambh lagwakar ye sari
jankari likhwayi thi….Muslim kaal me wah mandir nasht kar diya gaya par
angrejon ke samay me khudai me us garud stambh ka nichla bhaag phir mila aur
wah tabse helliodorous stambh ke naam se prasiddha hai. Sthaniiy log uski
khambaba (matlab khamba baba)ke naam se pooja karte hain.
Kanv Brahman
Vansh –
Vasudev namak
ek Kanv vanshiiy brahman shungon ka ek samant tha. Usne 72 BC me antim Shung
samrat Devbhuti ki hatya kar di aur Kanv Vansh ki sthapna hui.
Satvahan
Vansh –
Puranon me
ye baat bilkul saaf shabdon me likhi hai ki Andhra vansh jo Satvahan vansh ke
naam se bhi prasiddha hai…uski shuruat tab hui jab Andhra ke ek satvahan
vanshiiy samant Shimuk ne antim Kanv samrat Susharman ki 27BC me hatya kar di
aur ek swatantra shashak ke roop me rajya arambh kiya. Isse ek baat to sabit
hoti hai ki Kanvon ka shashan kam se kam Bihar se Andhra Pradesh tak to tha hi.
In satvahanon ko bhi kai itihaskar
Brahmin hi mante hain par ye abhi tark ka Vishay hai.
Nishkarsh –
Is sab me jo
ek baat nikalkar saamne aati hai wo ye hai ki Abu ke yagya ke baad Brahmanon ne
Gupt Sainik sangthan banana arambh kar diye honge aur Pushyamitra Shug inhi
sangthanon me se kisi ek ka sadasya raha hoga. Uske pad ke kaaran sabhi
sangthanon ne use sarvmat se apna neta mana hoga evam apna sampoorna sainik
samarthan diya hoga. Yahi kaaran tha ki wo poore uttar bharat aur dakshinapath
tak me ashvmedh yagya karke kai yuddhon ka vijeta bana. Yahi karan hai ki
parmar, chauhan, pratihar evam shukla vansh jo apne apne kshektron me paryapt shaktishali
ho gaye honge par unhone swatantra rajya karne ki jagah Pushyamira ko apna
Samrat mana aur matra samant ke roop me rajya karte rahe. Na sirf Shungon ke
balki Kanvon ke bhi samant rahe……..sirf
Kanv vansh ke khatme ke baad hi Ujjain/Dhar ke parmar Raja Vikramaditya ne 27
BC me swayam ko samrat ghoshit kiya aur tabhi Vikram samvat ka arambh kiya
jiska pratham varsh usne 58 BC ko maana jo ki vikramaditya ka janma varsh tha.
No comments:
Post a Comment