Monday, January 15, 2018

Vidisha ka Charan Tiirth , Lalli Patel aur Dhaturia gram...






Vidisha Nagar me vetwa nadi ko paar karne ke 2 sthaan hain...ek hai Rangai doosra hai Charan Tiirth...adhikansh vidisha vasiyon ko nahi pata ki uska naam Charan Tiirth kab aur kese pada...
Aaiye jante hain iske piichhe ka itihas....
Vidisha Nagar se 35 km duur ek gram hai Dhaturia gram... Yahan British period me ek vyakti hue Lalli Ram Meena ji.....unko British government me Mukaddam ki naukri mili...jiska kaam hota tha kisano se Todi ikatthi karke Vidisha collectorate me jama karwana...To Lalli Ram ji Lalli Patel kahlane lagey.
..Ye Lalli Patel santon me badi shraddha rakhte the.
Ek baar ye Todi ikattha karke vidisha aa rahe the ...Raste me Charan Tiirth par kai mandir hain aur aksar yahan Santon ki jamaat aaya karti thi .....tab Charan Tiirth ke ghat par inhe santon ki bhiid dikhai di....ye swabhav vash unke paas gaye aur pranam kiya....Santon ne kaha ki kya sukha sukha pranam kar raha hai kuchh seva bhandara kar....tab Lalli Patel ne socha ki mere paas ki sarkari rakam se abhi santon ko bhandara karwa deta hun....baad me apne ghar se rakam lekar sarkari khajane me jama karwa duunga...Badhiya bhandara hua..bhent Pooja , dakshina hui aur poori sarkari rakam kharch ho gayi....Jab agle din Lalli Patel apne ghar se rakam lekar jama karwane gaye tab khajanchi unse bola ki Patel sahab kal aap aap Jo rashi jama karwa kar gaye uski rasiid hi nahi le gaye, main apko aawaj lagata rah gaya....
Kuchh der to Patel samajh nahi paaye par Fir unhe samajh aa gaya ki bhagwan swayam hi ye karya karke gaye hain...ve daude daude gaye us sthan par jahan unhone bhandara kiya tha...par wahan duur tak kisi jamaat ka koi nishan nahi tha....Tab unhone us sthan par bhagwan ke Charan Ankit karwaye aur apne gaanw me ek mandir bhi banwaya Jo wahan aaj bhi hai aur Lalli Patel ki madhiya ke naam se Jana jata hai. Us par is ghatna ka San samvat aadi bhi Ankit hai.

No comments:

Post a Comment